1) Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota.......
2) Khamosh Raat Ki Pehlu Mein Sitare Naa Hote,
In Rookhi Aankhon mein Rangeen Najare Naa Hote,
Hum Bhi na Karte Parwah Agar aap Itne Pyare na hote......
3) Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai...
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai...
4) Us ajnabi ka youn na intezaar karo
Is aashiq dil ka na aitbaar karoRoz nikla karen
kisi ke yaad mein aanso Itna kabhi na kisi se pyaar karo
5) Har aahat ehsaas hamara dilaayegi.,
Har hawa khushbu hamari laayegi.;
Hum dosti aisi nibhaayengey yaara!
Ki hum na honge aur humhari yaad tumhe sataayegi..! !!
6) Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,
Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,
a jane woh kab milenge jin ke liye hum roz tadapte hain.
7) Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Is par aansu tadap kar bola,
Itne logo me apko tanha paate hai, Isliye chale aate hai!
8) Dil ki awaaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikarar kehte hai sirf paane ka naam ishq nahi.
kuch khone ko bhi pyaar kehte hai.
9) Main Lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta,
iska matlab ye nahin k main tujhe pyar nahi karta
chata hun tumhe aaj bhi par
teri soch mein apna waqt bekar nahi karta,
tamasha na ban jaye kahin mohobat mein mera
islye apne dard ko bayan nahi karta
10) Jo kuch bhi mila hai usi mein khush hu
mein tere liye khuda se taqrar nahi karta,
par kuch to baat hai teri fitrat meinzalim
warna tujhe chahne ki khata baar baar nahi karta
11) Aapse nazrein to mila lein par
ye to bataiye ki Aap mein aisa kya dekhein
jo dekhte hi deewana banade
Badi mushkil se militi hai zindagi
sambhal ke rakhiye
Kahin is shama ko hum parvana na banade
12) Dil ke dard ko dil torne wale kya jana,
Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane,
Hoti hai kitni takliff kabar ke niche,
Yeh upar se phool charane wale kya jane.
13) Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
14) Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aj bhi us ke paas hai.
15) Tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon
jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon
amber pe hain lakhon tare chamakte ek ko
is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon
16) Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
17) Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan!
18) Tumhe dil main basaye rakhta hoon
Aur duniya ko bhoolaye rakhta hoon
Tumhe meri nazar na lag jaye
Iss liye nazarein jukaye rakhta hoon
19) Kaise kahe ke aap kitni khubsurat hai,
Kaise kahe ke hum aap pe marte hai,
Yeh to sirf mera dil hi janta hai,
Ke hum aap pe hamari jawani qurban karte hai...
20) Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
21) Saath to mangne Se Mil Sakta Hai
Lekin Pyar Mangne Se Nahi Milta
Kyonki Pyar Kiya Nahi Jaata
Pyar to Ho Jata dil se dil ko jab koi pyara lagta hai.
22) Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte usi se mohabbat kyun hoti hai.
23) Logo ko aksar kehte suna: "Zinda rahe toh phir milenge".
Magar aap se mil ke Isha dil ne mehsoos kiya hai ki,
"Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge".
24) Is jahan me mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi me mithas na hoti!
Agar milti BEWAFA ko sazae maut,
To diwano ki kabre yu udas na hoti!!
25) Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
26) Dil mein tumhari apni kami chod jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani chod jayenge.
27) Jante hain hum zindagi mei gam khushi se kam nahi
Tum agar meri saath ho DOST to ye zindagi bhi kuch kam nahi
28) Muskurate palko pe sanam chale aate hein,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hein,
aaj bhi us mod par khade hein,
jaha kisi ne kaha tha ke theron hum abhi aate hein.
29) Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
30) Kitna pyar karte hai hum unse,
Kaash unko bhi yeh ehsaas ho jaye,
Magar aisa na ho ke woh hosh mein tab aaye,
Jab hum gehri neend mein so jaye
31) Akele gaye they door ek pal ke liye,...;
Magar aapke dil ke kareeb they harr pal ke liye...;
Kaise bhulengey aapko ek pal ke liye...,
Jab kho chuke hain khudd ko harr pal ke liye..!!!
32) Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
pehle dil phir zindagi se jud jate hain,
kehte hai uss daur ko dosti,
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
33) Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaarkarna zaruri hai
34) Aasu me na dhundo hame dil me bas jayenge
tammana ho agar milne ki to band ankho me najar aayenge.
35) Koi ankhonm akhon se baat kar leta hai,
koi ankhon ankhon main mulakat kar leta hai
Bada mushkil hota hai jawab dena jab koi khamosh reh kar sawal kar leta hai.
36) Kisi ke pyar mein gehri chot khayi hai,
Wafa se pehle hi bewafai payi hai.
Log mangte hai duwa is haal mein marne ki,
Par humne uski yaado mein jeene ki kasam khayi hai...
37) Log mohabbat ko khuda kehte hai,
Agar koi kare to use ilzaam dete hai.
Kehte hai ke pathar dil roya nahi karte,
Fir kyu pahado se jharne gira karte hai...
38) Karoge fariyad guzre zamane ko,
Tarsoge hamare saath ek palbitane ko,
Phir aawaz doge hame aane ko,
Hum kahenge darwaaza nahi hai kabar se bahar aane ko...
39) Mohabbat mein maine kya kuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni Aur hamne khud ko jala diya...
Yahan TAK hO gAYE
40) Badduaen le raha hoo is bedard jamane ki.
Yahi sazaa mili hai unhe apne dil me basane ki.
Isliye e yaar mere karna na kabhi tu khata.
Kisi haseen chehre se ek pal bhi nazar milane ki...
41) Tadap utha bhi to zalim teri duhaari na du,
Main Zakham Zakham hu phir bhi tujhe dikhaai na du,
Tere badan me dhadakne laga hu dil ki tarah,
Ye aur baat hain ki ab tujhe sunaai na du.....
42) Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi aati,
Marna chahte hai magar maut pass nahi aati.
Hum zindagi se bahut udaas hai,
Uspe teri yaadein tadpaana se baaz nahi aati...
43) Is jaha mein mohabbat kash na hoti,
To safar-e-zindagi mein mithas na hoti,
Agar milti bewafao ko saza main maut to,
Deewano ki kabrain udaas na hoti...
44) Meri mohabbat ne unhe khushi dedi,
Badle mein mujhe khamoshi dedi,
Khuda se dua mangi thi marne ki,
Lekin usne bhi kambakht jeene ke liye zindagi de di...
45) Khamosh palko se behkar jab aasu aate hai,
Aap kya jane kitne aap yaad aate hai.
Aaj bhi usi mod pe khade hai,
Jaha aapne kaha tha tehro hum abhi aate hai...
46) Naseeb se apne sabko shikayat kyun hoti hai,
jo mil nahi sakta ushi ki talaash kyun hoti hai.
Yu to hazaron khade hai rah mein,
Phir bhi unhi ki talaash kyun hoti hai...
47) Khaaye Hain Lakho Dhokhe,
Ek Dhokha Aur Seh Lenge.
Tu Leja Apni Doli Ko,
Hum Apni Arthi Ko Barat Keh Lenge...
48) Fareb tha unki hasi me,aashiqui samaj baithe.
Maut ko hum apni zindagi samaj baithe.
Yeh waqt ka majak tha ya hamari badnasibi,
Unki do baaton ko mohabbat samaj baithe...
49) Dil mera teri zulf ki janjeer ke kabil na tha.
Ye to masoom tha taasir ke kabil na tha.
Tujhse ek TASVEER maangi thi, tujhe na manga tha,
Kya aashie-a-dilber ek tasveer ke kabil na tha..
50) Manzil na rahi koi, Theekana bhi nahi hain,
Waapis muje ghar laut ke jaana bhi nahi hain.
Maine hi sikhaya tha usse TEER chalana,
Ab mere siva koi NISHANA bhi nahi hain...
51) Subah uth kar 3 kaam karna
1 khuda ko yaad karna taki tum jee sako
2 mujhe sms karna taki hum jee sake
3 naha lena taki sab jee sake
52) Yadon ke is bhawar main
1 pal mera ho pholoon k is chaman main
1 gul mera ho khuda kare ki jab woh yaad
kare apno ko to un apno main 1 naam mera ho
53) Ae barish zara tham k baras
jab mera yaar aajaye to jam k baras
phele na baras k wo aa na sake phir itna baras k wo jaa na sake
54) Tujh se milne ko man kar raha hai
man ko samjhaya to dil taradap raha hai
dil ko bhelaya to aankhein ro parain
unhein chup karaya tu saansain bol rarain i miss u yaar
55) Dhokha na dena ke tujh pe aitbaar bhout hai
yeh dil tere chahat ka talabgar bhout hai
tujhe na dekhen to dikhai kuch nahin
deta kiya kareke tujhse pyaar bhout hai
56) Dil ke zakhmo ko unse chupana pada
palke bheegi thi par muskurana pada
kese ulti hai pyaar ki yeh rasmein
ruthna chahte the par unko manana pada
57) Mehfil na sahi tanhai to milti hai
milna na sahi judai to milti hai
kon kheta hai pyaar me kuch nahin milta
wafa na sahi bewafai to milti hai
58) Dil se aapko yaad karenge
aapki har baat par aitbaar karenge
aap se apni shadi main aane ko to nahin
khenge phir bhi aapka intezar karenge
59) Sapno se dil lagane ki aadat na rahi
har waqt muskurane ki aadat na rahi
yeh soch kar ki koi manane nahin aayega ab
hamein rooth jane ki bhi aadat na rahi
60) Itne begane ho gaye hum ki kabhi fursat mein bhi hamari yaad na aayi.
hum to intezaar karte rahe aapke sms ka. lekin aapki to koi missed call bhi na aayi.
61) Teri awaz tere roop ki pehchan hai,
tere dil ki dhadkan mere dil ki jaan hai.
Na sunu jis roz teri batein,
lagta hai us roz ye jism hi bezaan hai.
62) Behte ashkon ki zuban nahi hoti,
lafzon mein mohabat bayaan nahi hoti.
Mile jo dosti to kadar karna,
kismat har kisi par meharban nahi hoti.
63) Hum apni dosti ko yaadon mein sajayenge,
dur rehkar bhi band ankhon me nazar ayenge.
Hum koi waqt nahi hain jo beet jayenge,
jab yad karoge tab chale ayenge.
64) Dhema-2 dard suhana hmko acha lgta hai,
dukhte ji ko aur dukhana hmko acha lgta hai.
din-2 bhar avara firna,ek hmari adt hai,
rat gye ghar laut k ana hmko acha lgta hai.
Chup -2 rehna aahe bharna,kuch na kehna logo se,
tanha-2 ashk bhana humko acha lagta hai.
gulo ko takte rehna,batein karna khushbu ki,
ye aalam apni zindagi ka hmko acha lagta hai.
65) Juda hain to kya hua doori to nahin,
Baat bhi na ho aisi majboori to nahin.
Nazar nahin aate ho aap to kya hua,
Aakhon mein tasveer apki adhoori to nahin.
66) Baharo ka sama hota hai apke aane se,
phool khilte hai aapki aahat se,
Jyada mat soiye janab kyoki
Har subah hoti hai apke MUSKURANE
se. Good morning.
67) Sabhi ko Sabh Kuch Nahi Milta,
Nadi ki har Lehar ko Sahil Nahi Milta.
Yeh Dil Walon ki Dunia hai Dost,
Kisi se Dil Nahi Milta to Koi Dil se Nahi Milta.
68) Jinki yaad tumhe khushi k lamhon me aaye,
samjho ki tum unhe pyaar karte ho.
Aur jo gum me yaad aye,
jaan lo ki woh tumhe pyaar karte hai.